Skip to main content

Posts

Showing posts from February, 2020

Han mana..

Han mana ki mai teri khwaish nhi, Han mana ki mai teri hasrat nhi, Han mana ki mere liye tere jazbat nhi, Han mana ki galti teri nahi, par galti meri bhi to nahi.. Han mana ki kusur tera nhi, Par kusurwar mai bhi to nhi, Teri han me khari rehti thi samne, Na bolte hi gayi bhi to thi.. Ijjat se ijjat ki bat kii thi, Dil se dil tak ki mang kii thi, Han suna hai maine doobti hai kashti behte dariya me, Par mere dariya me to ab pani hi nahi.. Han mana ki thi teri soch alag, Par maine soch milayi bhi to thi, Han mana ki teri koi majboori rhi, Par majboor mai bhi to thi... Roka maine khud ko hazar dafa, Par galti is dil ki bhi to nhi, Han mana ki hum khoobsurat nahi, Par shehzade kahi k tum bhi to nahi.. Han mana ki sab kuch mana, Par haqeekat to ye hai ki, is duniya me sirf tujhse hi pyar♥️ kiya, Tujhi se ikrar kiya, Aur tune hi inkar kiya....😔😔🤞                          -Tanya Singh

Mohabbat ab alfazon me bike,ye zaruri to nhi♥️🖤❤️

Teri aankhon se ojhal houn na kabhi, dil chhoona chahe  tere hothon ki nami, teri zulfon ki chhav me mai bitana chahun ye sham, han nahi hai koi aur kam hai ek hi dil,aur ye teri aavam Path katon se bhara tu us par ho koi Gulab ki kali jisme ho bas meri hi chhavi hai ailan-e-zindagi ka tu hi jashna-e-mohabbat ab Kya aaghat hua vo aashiq jo shamsheer teri ho tu koi khwaabon ki haseen jannat si na afsos ab koi zindagi se jo tujhe fatah kar gaye hum Hai aarzoo meri ki puchun tujhse bas ek dafa, kya munasib tha mera tujhko yun beintaha chahna, to kya hua jo mashhoor nahi hue hamare charche,, mohabbat ab alfazon me bike, ye zaruri to nahi.....♥️💖💝