Skip to main content

Posts

Han mana..

Han mana ki mai teri khwaish nhi, Han mana ki mai teri hasrat nhi, Han mana ki mere liye tere jazbat nhi, Han mana ki galti teri nahi, par galti meri bhi to nahi.. Han mana ki kusur tera nhi, Par kusurwar mai bhi to nhi, Teri han me khari rehti thi samne, Na bolte hi gayi bhi to thi.. Ijjat se ijjat ki bat kii thi, Dil se dil tak ki mang kii thi, Han suna hai maine doobti hai kashti behte dariya me, Par mere dariya me to ab pani hi nahi.. Han mana ki thi teri soch alag, Par maine soch milayi bhi to thi, Han mana ki teri koi majboori rhi, Par majboor mai bhi to thi... Roka maine khud ko hazar dafa, Par galti is dil ki bhi to nhi, Han mana ki hum khoobsurat nahi, Par shehzade kahi k tum bhi to nahi.. Han mana ki sab kuch mana, Par haqeekat to ye hai ki, is duniya me sirf tujhse hi pyar♥️ kiya, Tujhi se ikrar kiya, Aur tune hi inkar kiya....😔😔🤞                          -Tanya Singh

Mohabbat ab alfazon me bike,ye zaruri to nhi♥️🖤❤️

Teri aankhon se ojhal houn na kabhi, dil chhoona chahe  tere hothon ki nami, teri zulfon ki chhav me mai bitana chahun ye sham, han nahi hai koi aur kam hai ek hi dil,aur ye teri aavam Path katon se bhara tu us par ho koi Gulab ki kali jisme ho bas meri hi chhavi hai ailan-e-zindagi ka tu hi jashna-e-mohabbat ab Kya aaghat hua vo aashiq jo shamsheer teri ho tu koi khwaabon ki haseen jannat si na afsos ab koi zindagi se jo tujhe fatah kar gaye hum Hai aarzoo meri ki puchun tujhse bas ek dafa, kya munasib tha mera tujhko yun beintaha chahna, to kya hua jo mashhoor nahi hue hamare charche,, mohabbat ab alfazon me bike, ye zaruri to nahi.....♥️💖💝

Tera Noor

Karu kya tareef teri mai  Tu to already ittti mashhoor hai Akarshit hai jo krti  Tere chehre ki wo noor hai  Yun to hai dekhe heere boht Par tu kohinoor hai  Aaj jb dekhu tujhe to  Mn me aati ek baat jaroor hai  Kyu chand Prithvi se itta door hai  Par chl manjoor hai  Baate ye sari meri shyd fizul hai  Pr todu bhi kaise tujhe mai  Baghiche ki mere  Tu sbse khubsoorat phul hai....!                             - Yuvraj Singh   

Doori

Tu door hain mujhse, Maine manane ki koi koshish ki nahi hai Mere mein jajbaat nahi h na  Yeh baat bhi chal teri sahi hai  Haan thoda dukh pahucha h teri bat ka  Shyd shikayat krkr maine glti krdi h Ab manane bhi aaya to sochegi  Aagaya kuki ab aane Wali srdi hai Tune bharosa krne se mana kiya tha na  Pr bhrosa rkh tri har baat pr mujhe Bhrosa pura hai Yaade to puri hai teri mere sath Chahe apna sath adhura hai Tera khayal aksar krliya krta hu  Tujhe chup chupkr mai dekh liya krta hu Pyaar ke badle pyaar ki umeed nahi hai mujhe  Mai to teri khushi mein khud has liya krta hu Is baar ki trh bhi  Glti meri hogi yeh mai manta hu Khud ko mai Itta pehchanta hu Mera mafi mangna ab koi asar krega nahi Mere is muh se  Tujhe yeh shbd khalega nahi  Raat raat bhr mai jaga krta hu Tri yaado se khudko lubhaya krta hu Tri us masoom hasi mein baat hi aisi thi kuch  Ki yad se hi lalit hua krta ...

Khami

Mujh me hazaaro khami  Mili kitni nakami Ye baat, nahi kisi se anjaani Hui kaffi badnami Par khamiyo ko mai mita dunga, maine bhi ye thani Karna ye itna asaan nahi Par jo gltiyo se bhi na sikhe ,mai vo insaan nahi Fir puchchhe khud se sawal kai Paani hai kyu pyaas nahi Zindagi se kyu koi aas nahi Seene me kyu saans nahi Aawaz hai kyu alfaaz nai Lakshay hai kyu sankalp nahi Kyu kiya inpe kabhi vichaar nahi Fir samjh me aai baat wahi Raavan ne jo btai thi kbhi Karna h jo , karna abhi  Kal ke liye chhodna,koi kaam nahi            -Yuvraj Singh♠️           

Together Us

From your left cheek curve To your smile All seems like mine I don't have to force myself Cause when am with you , I instinctively smile your every touch the vibes become more Together I feel us becoming apathetic to the world I care no rumours People words aren't stress As long as you are with me None would dare to mess                    - Kanishka Mohan

Alag Hai

Alag hai meri manzil, alag hai mera raasta Unhi se ab hu mai door, jinke kbhi paas tha Akele hi ab jana h nahi kisi se  waasta Haa, koi gya chhod kar jo mere liye  khaas tha Par, zindagi ke dhoko ne uthna  sikhaaya hai Ab pda mai akela to khud se chlna  aaya hai Haa, khud se.  chlna aaya hai....!                       -Yuvraj Singh♠️