Kyun anjan si hai ye zindagi kuch gumnam si to kuch khafa khafa kuch udas si kuch bhayanak bilkul jaise khaufnak chhuti hui aankhon ki nami jaise kuch dardnak si kyun anjan si hai ye zindagi Jeene ki aarzoo to zehen me thi Thi tamanaye bhi anek par hume gam bhi hua uske lavzo ka jisne alfazo ka matlab hi na samjha kyun anjan si hai ye zindagi Chahat to bas ek mulakat ki hi thi hausla chand lavzo ka hi tha par aise choor hua mere sapno ka chaman jaise chhin gaye ho kisi parindey se uske hi par Kyun anjan si hai ye zindagi Man me toofan tha bawandar mera aasman tha Nahi, hila nahi hai zameer mera bas dil toota kanch saman kashmkash me tha mera iman Kyun anjan si hai ye zindagi kuch gumnam si to kuch khafa khafa.... - Tanya Singh