Skip to main content

Khami

Mujh me hazaaro khami 
Mili kitni nakami
Ye baat, nahi kisi se anjaani
Hui kaffi badnami

Par khamiyo ko mai mita dunga, maine bhi ye thani
Karna ye itna asaan nahi
Par jo gltiyo se bhi na sikhe ,mai vo insaan nahi
Fir puchchhe khud se sawal kai

Paani hai kyu pyaas nahi
Zindagi se kyu koi aas nahi
Seene me kyu saans nahi
Aawaz hai kyu alfaaz nai
Lakshay hai kyu sankalp nahi
Kyu kiya inpe kabhi vichaar nahi

Fir samjh me aai baat wahi
Raavan ne jo btai thi kbhi
Karna h jo , karna abhi 
Kal ke liye chhodna,koi kaam nahi

           -Yuvraj Singh♠️           


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Han mana..

Han mana ki mai teri khwaish nhi, Han mana ki mai teri hasrat nhi, Han mana ki mere liye tere jazbat nhi, Han mana ki galti teri nahi, par galti meri bhi to nahi.. Han mana ki kusur tera nhi, Par kusurwar mai bhi to nhi, Teri han me khari rehti thi samne, Na bolte hi gayi bhi to thi.. Ijjat se ijjat ki bat kii thi, Dil se dil tak ki mang kii thi, Han suna hai maine doobti hai kashti behte dariya me, Par mere dariya me to ab pani hi nahi.. Han mana ki thi teri soch alag, Par maine soch milayi bhi to thi, Han mana ki teri koi majboori rhi, Par majboor mai bhi to thi... Roka maine khud ko hazar dafa, Par galti is dil ki bhi to nhi, Han mana ki hum khoobsurat nahi, Par shehzade kahi k tum bhi to nahi.. Han mana ki sab kuch mana, Par haqeekat to ye hai ki, is duniya me sirf tujhse hi pyar♥️ kiya, Tujhi se ikrar kiya, Aur tune hi inkar kiya....πŸ˜”πŸ˜”πŸ€ž                          -Tanya Singh